I spend 1 week in India's most expensive neighbour country Sri Lanka #minivlog #ytshorts #travel

Просмотров: 2, 607, 544   |   Загружено: 5 мес.
icon
wittySpace
icon
107, 196
icon
Скачать
iconПодробнее о видео
Agar aap bhi Sri Lanka jane ka plan kar rahe hain to ye ek detailed costing aur itinerary hai jo Sri Lanka achhe se explore karne mein apki madad karegi:
(Video mein kahi Indian rupee mein costing bataya gaya hai aur kahi Sri Lankan rupee halaki yahan par maine dono currency mein likh di hai costing)
(Current exchange rate
1 INR = 3.38 SLR)

Flight to Sri Lanka :
New Delhi to Colombo (capital of Sri Lanka): 9500 INR (~SLR 32000)
- flight cost on-season & off-season ke hisab se vary karta hai
- Jitna pehle book karo utna achha!

Day 1-2: Colombo to Kandy

Colombo travel– Colombo mainly beaches, casinos aur food ke liye famous hai,
- beach early morning ya sham mein jane layak hota hai dono samay temperature kam hota hai toh aap beach ka anand jyada le sakte hain.
- Casinos ka experience bhot he alag hota hai agar aap wahan paise na bhi lagaye phir bhi ek baar jakar dekho kyunki casino ke andar jate he aisa lagta hai jaise ki kisi film ke set par aa gaye ho !
- Sri Lankan Kottu jarur try karna, khane mein mostly har jagah fried rice mil jaega (veg or non-veg) aur dish ka taste humare indian taste buds se almost match hoga to itni dikkat wali baat nahi hai khana dhundna l!

Colombo Stay cost -
Airbnb -1500-2000 INR/day (~ SLR 5000-7000)
• Colombo to Kandy Bus Fare – SLR 410 (~121.19 INR) ( Ye AC bus thi par chhoti thi jiski wajah se baithne mein asuvidha hui)
• Stay in Kandy (2 Nights) – 4,000 INR (~SLR 14000)
• Tooth Temple Entry Fee – SLR 1,500 (~443.37 INR) ( gautam budhha ka asli dant hai ya nahi ye ab bhi rehesye hai, halaki temple mein sham 6 baje jane par aarti dekh sakte hain)

Day 3-4: Sigiriya-Asli Sri Lanka !
Sigiriya jungle he jungle hai aur yahan pahuchna bhi asan nahi hai,
Kandy to Dambulla bus fare- SLR 500 (~147.79 INR) (AC bus)
Dambulla to Sigiriya bus fare- SLR 90 (~26.60 INR) (Non AC bus)
• Lion Rock Entry – SLR 6,000 (~1773.50 INR)(rock ki bhot steep chadhai hai aisi taisi ho jaegi, par jab aap upar pahuch jaoge toh KING wali feeling aaegi!)
• Stay (2 Nights) – 4,000 INR (~SLR 14,000)

Day 5-7: Mannar – Finally Ram Setu & Baobab Tree jahan pahuchna matlb Sri Lanka ke ram setu se Bharat pahuchne jitna kathin tha kyunki koi bhi direct bus ya transport mode available nahi thi,
To main gayi Sigiriya se pehle Anuradhapura, Anuradhapura se Vavuniya aur Vavuniya se Mannar jiska total bus fare tha : SLR 1100-2000 (~350-550 INR)

• Stay (2 Nights) – SLR 14,000 (~4000 INR)
• Baobab Tree & Ram Setu Visit – SLR 4,000 (~1182 INR) (Talaimannar mein Ram setu par jane ke liye alag se paise lagte hain aur Bharat ke muqabale wahan koi bheed bhi nahi thi, halaki Baobab tree best experience tha use dekhne ke liye koi paise nahi lagte wo bas ek jagah aise he normal ped jaisa laga hai )

Average cost (in Indian rupees)
Flight round trip: 20000-25000 INR
Per day food cost: 400-600 INR
Per day Stay cost: 2000-2500 INR
Attractions and other miscellaneous: 3000-4000 INR
Total cost for 7 days except miscellaneous : ~36800- 46700 INR



To support this channel you can become a member here-

this helps us to put out better content

list of gears I use in my videos -

Похожие видео

Добавлено: 56 год.
Добавил:
  © 2019-2021
  I spend 1 week in India's most expensive neighbour country Sri Lanka #minivlog #ytshorts #travel - RusLar.Me