An Expression of a Beautiful Love Story :
In this song, the emotions of separation are deeply felt, capturing the sadness and incompleteness of the poet's heart. He yearns for his love while cherishing the precious memories they shared together.
Song Credits
Track Name: Main Kalam tu Kitab
Written & Performed By: DHARMIK
Music Producer: Aditya Pushkarna
Primary Artist: DHARMIK
Track Name: Main Kalam tu Kitab
Singer/Performed By/Cast: DHARMIK
Lyricist/Written By: DHARMIK
Music Produced By: Aditya Pushkarna
Co-Composer: Aditya Pushkarna
Music Label: Saregama
Genre: Hip Hop
Sub-Genre: Rap
Language:Hindi
Country of Origin/Source: India
Follow Kaanphod to know more:
👉 Subscribe to KaanPhod :
👉 Like us on Facebook:
👉 Follow us on X:
👉 Follow us on Instagram:
Lyrics
DHARMIK - MAI KALAM TU KITAB
Main kalam tu kitab
zariya karne ka baat
Jo keh na paya munh se
ab woh likh diya JAZBAAT
Tera haath mere saath
Tu haqeeqat tu hi khwab
Dil se mohabbat hoti toh
na dekha dharm jaat
Main kalam tu kitab
zariya karne ka baat
Jo keh na paya munh se
ab woh likh diya jazbaat
Sapno mein tujh se baat
sapno mein mulaqaat
Satata tha main usko
ab satati uski yaad
Kehta aap usko pyaar se
Pyaar tha uski maar se
Saccha tha uske saath jab
main Jhoota tha sansaar se
Maana mash-hoor thhe
Tabhi duniya se durr
Ek duje ka guroor thhe
Khud mein hi Kohinoor
Jealousy alag si aankhon se jhalakti
Woh doosri ladkiyon ke jaisi hoke bhi alag thi
Marham thi dard ki meri bhi talab thi
Toh dil ne jagah de di
usko marte dum talak ki
Bites mit gaye par dil pe hai nishaan
Har night ko phone pe baatein
gawah uska chand
Maana jaan toh jaan se zyada diya usko maan
Uski yaad mein Taj yeh gaana aur main Shahjahan
Meri jaan main shayar main likha shayari
Saccha pyaar na kayar na jhooti aashiqui
Rishta aisa main dekha pehla aur aakhri
Jeena yadon ke sahare dil ka intehan yehi
Gully ka boy lekin safina mujhse ab juda
Hum the waqif phir bhi na jaane kyun the gumshuda
Hai dua dil se hum dono haath utha ke maangein
Agle janam mein dharam se alag na kar khuda
Agle janam mein dharam se alag na kar khuda
Main kalam tu kitab
zariya karne ka baat
Jo keh na paya munh se
ab woh likh diya jazbaat
Tera haath mere saath
Tu haqeeqat tu hi khwab
Dil se mohabbat hoti
toh na dekha dharam jaat
Main kalam tu kitab
zariya karne ka baat
Jo keh na paya munh se
ab woh likh diya jazbaat
Sapno mein tujh se baat
sapno mein mulaqaat
Satata tha main usko
ab satati uski yaad
Tu jo roz gayi kalam yeh tabse rose bani
Chubhti haathon ko par
dil toh madhosh kahin
Hai khushboo teri jab rooh mein samayi
Itar kitna bhi laga loon
uss bichare ka koi dosh nahi
Daulat uss se badi ab talak main khoya nahi
Main neend mein tha phir bhi
khwabon mein kyun soya nahi
Haan uski khamoshi ne keh diya jo tay kiya
Aankhein bhari meri
par main uske aage roya nahi
Woh zoya main arjun
zindagi thi jannat
Main khoya maya jaal mein
saath thi woh har waqt
Main badshah jo duniya jeetne ko chal pada tha
Khud se beghar ho chuka
toh uski baahon mein thi mannat
Aaj ek alag hi nasha
Kalam mein Elia basa
Dil udaas baitha tu usey Hasane ki dawa
Dard deta nahi saza
Gham ko likhna ek maza
Jab naseeb bewafa
Kaun kis se ho khafa
Dua di usne kamyab hoga tu rap mein
Ab uss se baat karna ho toh likhta rap main
Sona chahta tha wapas tere godh mein par
Khwahishon ke panno ko baha diya jahaaz mein
Farishte milte jaise milne mujhse aa phir
Talash mein bhatakta rehta main musafir
Yeh aashiqui jhoothi lag rahi thi unko jo
Aawara mere ko bole ab woh khud hi nikle kafir
Main kalam tu kitab
Main kalam tu kitab
Main kalam tu kitab
Main kalam tu kitab
-----
Follow Kaanphod to know more:
👉 Subscribe to KaanPhod :
👉 Like us on Facebook:
👉 Follow us on X:
👉 Follow us on Instagram:
----
#RoyalEnfieldHunter MTV Hustle 4 Hip-Hop, Don’t Stop, Co-Powered by #Wildstone #boAtLifestyle & #WokTokByVeeba. Every Sat-Sun 7PM only on @mtvindia & @officialjiocinema.
#MTVHustle #MTVHustle4 #Hustle4 #HipHopDontStop